Azadi
Agar aazad hona – yeh ke tum khamosh raho
Kyunki kahna hai mujhe kuch
Agar Azad hona – yeh ke tum salakhon ke peeche raho
Take hame koi khouf na ho
Tumhare khiyalath se aur karmo se jo mukhtalif hain hum se
Agar Azad hona – sakhti se mahdood ho
sirf aane wale kal par
Aur agar aaj ka din samjha jaye din se kuch kam
Agar azad hona – yeh ke band darwazon ke peeche
Aazadi se parde par who sab kuch dekhna
Jisko rakhna chahiye ba mahfooz dur
Agar Azad hona – yeh
Khamoshi ki neend
Kyonki doosron ki aawaz cheen Ii gayi hai unse maqsadan
Agar azad hona – yeh ke jab chaho jo chao khalo
Aur jhoote ko un akhbaron mein dal-do
jin mein bhook ki pukar ko khamosh kiya gaya hai
Agar Aazad hona – yeh ke Mujhe patha hi na chale ke kis ne mujhe aazad kiya
Aazad rakkhe ga, aur jo mujhe
khaidi banalega Aazadi mein har din
Agar aazad hona – yeh ke intizaar karun koi mujhe azad kare
Apne waswason se
jin par mein eeman se khayam hun
Agar aazadi jod sake mere khiyalon ko
Agar aazadi dole mere athraaf meri rooh ki gahraayi mein
Lekin tumhari pakad mein na aaye
Agar Aazadi mehfooz rakhkhe mujhe
Tumhare khiyalon se
Jo ke mukhtalif hain mere liye
Agar Aazadi aaj mere liye waze ho
Aur iska mathlab tumhe
patha bhi na chale
Tab yeh aazadi mere liye haar hai
Aur tumhare liye mouth ki dawath
Aur aazadi bhanp hai zalimana
Laikin haan shayad
Yeh mujhe ijazath de
Ek doosre ke baahami ehtimad se
Take mein tumhen apni bakasrath aazadi
Me se kuch desakun
Fawaqthan ya phir thaweel arse ke liye
Jo tumhein meri is damghutane wali
Aazdi se aazad karde
Marion Bloem
Urdu translation by Afeefa Banu
From English translation “Freedom” by Angela E. Roe