Swatantrata in Hindi (Roman) by Bhawna Saxena

Swatantrata

Yadi swatantrata hai, tumhari chup
Kyonki mujhe abhivyakti chahiye

Aur tumhari kaid
Taki hum nirbhay rahen
Tumhare krityon, akrityon se

Yadi swatantrata hai
Kal ko sanwarne mein
aj ko chuka dena
aur sab raah band kar dena
taki ek surakshit doori par bane rahen mook darshak.

Yadi swatantrata hai
Wah shanti ki neend jiske liye
Sabki Juban see di gayin hain
Yadi swatantrata hai
Apne man ke swad pana
Aur chhilkon se bhar dena wah akhbar
Jiske antar thi
Bhukhmari ki tasveeren.

Yadi swatantrata hai anjaan rahna
apne mukti karak se
aur apni swatantrata aur apni bandishon se

Yadi swatantrata hai
prateeksha mere apnebhay se mukti ki
us bhay se jise maine apnaya hai

Yadi swatantrata
chin kar mere vichar
tirti hai mere bhitar bahar
par tum use paa n sako

Yadi swatantrata dhaanp leti hai mujhe
tumhare un vicharon se
jo alag hain
aur mere liye prakritik
kintu tum unhe samajh n saka
to tumhari shah par hai meri maat
to swatantrata halki aur bemaani hai

Par kya milegi mujhe jara si swatantrata ki
ki main apne bhare kosh se
reet doon
thodi si swatantrata
nishchay hi tumhari sahmati se
kuchh pal ko ya aur bhi
taki tumhe mile mukti
meri damghontu swatantrata se.

Marion Bloem

Hindi in Roman translation by Bhawna Saxena